PavBhaji Recipe
Pavbhaji ye recipe banana bohot hi asan hai. Ye sabhi sabjiyo ko mix kar ke banti hai aur ise pav ke sath khaya jata hai. Kisi party main ya subah ke nashte main ye dish banayi ja sakti hai. Baccho ko ye bohot hi pasand hoti hai. Aur log bhi is dish ko badi pasand se khate hai. To ye kaise banate hai dekhate hai.
- 2 medium aalu
- 1/2 cup hari matar
- 3/4 cup kati hue fulgobi
- 1/2 gajar
- 1 pyaj barik kata hua
- 1 table spoon adarak lahsun paste
- 2 medium tamatar
- 1/2 shimla mirch
- 1 tea spoon lal mirch powder
- 1/4 haldi powder
- 1 tea spoon dhaniya-jira powder
- 1 tea spoon nimbu ka ras
- 2 table spoon hara dhaniya
- Pavbhaji masala
- 8 bun pav
- Makkhan
- Tel
PavBhaji Banane Ki Vidhi
Sabhi sabjiyo ko acche se pani se dhokar uske chote chote tukade kar le. Sabhi sabjiyo ki 2-3 liter vale pressure kukar main dale. Usme 1/2 cup pani dale aur thoda namak dal kar kukar ka dhakkan laga kar use medium aach pe rakhe. 2 sitiya hone tak pakne de. 2 sitiya hone ke baad gas ko band kare aur kukar thoda thanda hone de. Ubali hue sabjiyo ko aalu maishar ke sath masal le
Ek kadhai main 2 table spoon tel aur 2 table spoon makkhan dale. Medium aach pe use garm hone de. Usme kata hua pyaj aur adarak lahsun ka paste dal kar acche se gulabi hone tak pakne de. Usme kati hue shimla mirch aur tamatar aur namak dal le. Tamatar aur shimla mirch ko thodi der tak pakne de
Usme lal mirch powder, haldi powder, dhaniya powder aur pavbhaji masala dalkar acche se mix kare. Use 1 min tak pakne de. Usme 3/4 cup pani dale. 3-4 min tak pakne de. Sabhi ubali hue sabjiya aur limbu ka ras dale. Use acche se milakar aur 3-4 min tak pakne de. Use chakh kar dekhe aur uske hisab se thoda namak add kar le. Gas band kar le aur usme barik kata hua hara dhaniya dal ke saja le.
Bun pav ko chaku se bich main se kat le. Pav ek taraf se juda rahe vaisa kat lena hai. Tawe ko medium aach pe rakhe uspe thoda makkhan dale aur pav ko sek le. Pav ko dono side se seke. Seke hue pav ko thali main rakhe. Ek katori main bhaji nikal le uske sath garm pav bhi serve kare.
Comments
Post a Comment