Dosa Recipe Dosa ye dish south indian dish hai ye banana bohot hi asan hai. Sabhi log ise bade pasand ke sath khate hai. Isme dose ke kahi prakar aate hai jaise ki masala dosa, plain dosa, panir dosa, paper dosa. Is recipe main ham. Plain dosa kaise banaye vo dekhate hai. Dosa banane ki samagri 3/4 cup chaval 1/2 cup udit dal ka sol 1/2 table chana dal 1/4 tea spoon methi dane Namak swad anusar Tel Dosa banane ki vidhi Chaval ko pani main ratbhar bhigokar rakhe. Udid dal aur chana dal ko bhi alag se bhigokar rakhe. Ek katori main bhigi hue udad dal aur chana dal nikal le aur uska pani bhi nikal le. Udad dal aur chana dal ko mixer main graind kar le aur barik pis le pani jarurat padne par thoda thoda pani mix kar ke graind kar le lisi hue dal ko nikal le aur chaval ko bhi graind kar chaval jyada barik nhi niklenge vo thode dardare hi rahenge. Dal ka ghol mulayam rehta hai...